1.Bheege Hont Tere Lyrics From Murder
Song: Bheege Hont TereMovie: Murder
Singer(s): Kunal Ganjawala
Music By: Anu Malik
Bheege hont tere, pyaasa dil mera
Lage abrr sa haan mujhe tan tera
Jamke barsa de mujhpar ghataayein
Tuhi meri pyaas tu hi mera jaa
Kabhi mere saath koyi raat gujaar
Tujhe subah tak main karu pyaar ha
Oh oh oh, oh oh oh, oh oh oh, oh oh oh
Saansein aanch teri, tan aag tera
Chhine nind meri lute chain mera
Kaala jaadu karein lambe baal tere
Aankhein jhil teri ?? laal tere
Kabhi mere saath koyi raat gujaar
Tujhe subah tak main karu pyaar oh
Oh oh oh, oh oh oh, oh oh oh, oh oh oh
Oh oh oh, oh ho oh, oh oh oh, oh oh oh
Aankhein keh rahi, jo na ham kahe
Use sun le tu jo na lab kahe
Tu na soye aaj, main na sou aaj
Tujhe dekhu aaj, tujhamein khou aaj
Kabhi mere saath koyi raat gujaar
Tujhe subah tak main karu pyaar
Oh oh oh, oh oh oh, oh oh oh, oh oh oh
Bheege hont tere, pyaasa dil mera
Lage abrr sa haan mujhe tan tera
2.Dil Ko Hajaar Baar Roka Roka Roka Lyrics from Murder
Song: Dil Ko Hajaar Baar Roka Roka RokaMovie: Murder
Singer(s): Alisha Chinai
Music By: Anu Malik
Lyricist(s): Rahat Indori
(Dil ko hajaar baar roka roka roka
Dil ko hajaar baar toka toka toka
Dil hai hawaao ka jhonka jhonka jhonka
Dil ko bachaana, dhoka na khaana
Dhoka hai pyaar yaar, pyaar hai dhoka) - (2)
Dil ko hajaar baar roka roka roka
Dhundega koyi bahaana, dhundega koyi nishaana - (2)
Dil ka baajar hai yahaan toh, dil ko dilon se bachaana
Dil ko hajaar baar roka roka roka
Dil ko hajaar baar toka toka toka
Dil hai hawaao ka jhonka jhonka jhonka
Dil ko bachaana, dhoka na khaana
Dhoka hai pyaar yaar, pyaar hai dhoka
Dil ko hajaar baar roka roka roka
Bachana iss aashiq se bachana, kaanton ki dosti se bachana - (2)
Aankhon mein bhar le andhera, tum aisi roshani si bachana
Dil ko hajaar baar roka roka roka
Dil ko hajaar baar toka toka toka
Dil hai hawaao ka jhonka jhonka jhonka
Dil ko bachaana, dhoka na khaana
Dhoka hai pyaar yaar, pyaar hai dhoka
Dil ko hajaar baar roka roka roka
Dil ko hajaar baar toka toka toka
Dil ko hajaar baar roka roka roka
3.Jana Jane Jana Lyrics from Murder
Song: Jana Jane JanaMovie: Murder
Singer(s): Amir Jamal
Music By: Anu Malik
(Jaana tere pyaar mein mera dil kho gaya
Ghadi ghadi teri aankhon ka deewaana ho gaya) - (2)
Tere dum se aayi hai mere ghar mein yeh saba
Teri aankhon se jala huwa hai mere dil ka yeh diya
O jaana aa jaana o meri jaane jaana
O jaana aake dekh yeh mere ishq inteha
Mera dil yeh duwa kare, yeh milan ho sada
Tere rang se saji rahe mere ghar ki faza
Meri shyam yuun saji rahe jara khul ke muskura
Teri dilkashi ka raaj kya, jara mujhko yeh bata
O jaana aa jaana o meri jaane jaana
O jaana aake dekh yeh mere ishq inteha
Tu jo saamane aa gayi, mera dil toh chala
Tujhe bas takata raha kaha hosh raha
Tere aaspaas raha karu mere dil ne yeh kaha
Mujhe yeh bata ke main kya karu, mera dil bas kho gaya
O jaana aa jaana o meri jaane jaana
O jaana aake dekh yeh mere ishq inteha
Jaana tere pyaar mein mera dil kho gaya
Ghadi ghadi teri aankhon ka deewaana ho gaya
Tere dum se aayi hai mere ghar mein yeh saba
Teri aankhon se jala huwa hai mere dil ka yeh diya
(O jaana aa jaana o meri jaane jaana
O jaana aake dekh yeh mere ishq inteha) - (2)
4.Kaho Na Kaho Lyrics from Murder
Song: Kaho Na KahoMovie: Murder
Singer(s): Amir Jamal
Music By: Anu Malik
(Kaho na kaho, yeh aankhein bolati hai o sanam o sanam
O mere sanam, mohabbat ke safar mein yeh sahaara hai
Wafa ki saahilon ka yeh kinaara hai) - (2)
(Baadalon se unchhi udaan unaki, sabse alag pehchaan unaki
Unase hai pyaar ki kahaani manjur
Aati jaati saanson ki rawaani manjur) - (2)
{arbi}
Kaho na kaho, yeh aankhein bolati hai o sanam o sanam
O mere sanam, mohabbat ke safar mein tu hamaara hai
Andhere raaston ka tu sitaara hai
{arbi}
Tu hi jine ka sahaara hai, meri maujo ka kinaara hai
Mere liye yeh jahaan hai tu, tujhe mere dil ne pukaara hai
Kaho na kaho, yeh saansein bolati hai o sanam o sanam
O mere sanam, labon pe naam tere bas hamaara hai
Yeh tera dil bhi jaana hamaara hai
Kaho na kaho, yeh aankhein bolati hai o sanam o sanam
O mere sanam, mohabbat ke safar mein yeh sahaara hai
Wafa ki saahilon ka yeh kinaara hai
(Khaabon mein tujhako sawaara hai, jasbon mein apne utaara hai
Meri yeh aankhein jidhar dekhe, tera hi tera najaara hai) - (4)
5.Jindagi Iss Tarah (Male) Lyrics from Murder
Song: Jindagi Iss Tarah (Male)Movie: Murder
Singer(s): Sonu Nigam
Music By: Anu Malik
Jindagi iss tarah se lagne lagi
Rang udd jaaye jo deewaaron se
Abb chhupaane ko apna kuchh na raha
Jakhm dikhane lage daraaro se
Abb talak sirf tujhako dekha tha
Aaj tu kya hai yeh bhi jaan liya
Aaj jab gaur se tujhe dekha
Hum galat the kahin yeh maan liya - (2)
Teri har bhul ne kahin shayad
Hum bhi shaamil hai gunaah gaaro se
Abb chhupaane ko apna kuchh na raha
Jakhm dikhane lage daraaro se
Aa mere saath milke hum phir se
Apne khwaabon ka ghar banaate hai
Jo bhi bikhara hai woh sametate hai
Dhundkar phir khushi ko laate hai - (2)
Bojh toh jindagi ka katata hai
Ek duje ke hi sahaaron se
Jindagi iss tarah se lagne lagi
Rang udd jaaye jo deewaaron se
Abb chhupaane ko apna kuchh na raha
Jakhm dikhane lage daraaro se
6.Jindagi Iss Tarah (Female) Lyrics from Murder
Song: Jindagi Iss Tarah (Female)Movie: Murder
Singer(s): Anuradha Paudwal
Music By: Anu Malik
Jindagi iss tarah se lagne lagi
Rang udd jaaye jo deewaaron si
Abb chhupaane ko apna kuchh na raha
Jakhm dikhane lage daraaro se
Main tere jism ki hoon parchhayi
Muhko kaise rakhoge khud se juda
Bhul karna toh meri fitrat hai
Kyun ki insaan hoon main, nahi hoon khuda - (2)
Mujhko hai apni har khata manjur
Bhul ho jaati hai insaano se
Abb chhupaane ko apna kuchh na raha
Jakhm dikhane lage daraaro se
Jab kabhi shyaam ki andheron mein
Raah pachhchi jo bhul jaate hai
Woh subah hote hi milon chalkar
Apaani shaakhon pe laut aate hain - (2)
Kuchh hamaare bhi saath aisa huwa
Hum yahin kah rahe ishaaron se
Jindagi iss tarah se lagne lagi
Rang udd jaaye jo deewaaron si
Abb chhupaane ko apna kuchh na raha
Jakhm dikhane lage daraaro se
Nice songs
ردحذفإرسال تعليق