Header AD

Ek Villain- All Songs Lyrics

Ek Villain- All Songs Lyrics


1.Galliyan Lyrics From Ek Villain

Song: Galliyan
Movie: Ek Villain
Singer(s): Ankit Tiwari
Music By: Ankit Tiwari
Lyricist(s): Manoj Muntashir

 Jab tak hum kisi ke humdard nahi bante na
 Tab tak hum dard se aur dard hum se juda nahi hota
 (Yahin doobe din mere yahin hote hain savere
 Yahin marna aur jeena yahin mandir aur madeena) - 2

 Teri galliyan galliyan teri galliyan
 Mujhko bhave galliyan teri galliyan
 Teri galliyan galliyan teri galliyan
 Yuhin tadpave galliyan teri galliyan

 Tu meri neendo me sota hai
 Tu mere ashko mein rota hai
 Sargoshi si hai khayalon mein
 Tu na ho phir bhi tu hota hai
 Hai sila tu mere dard ka
 Mere dil ki duwain hain teri galliyan
 Aayesha
 Galliyan teri galliyan
 Yuhin tadpave galiyan teri
 Galliyan teri

2.Banjaara Lyrics from Ek Villain

Song: Banjaara
Movie: Ek Villain
Singer(s): Mohd. Irfan
Music By: Mithoon Sharma

 Haan kisi shayar ki gajal jo de rooh ko sukun ke pal
 Koi mujhko unn mila hai jaise banjare ko ghar
 Naye mousam ki sahar ya shard me do pehar
 Koi mujhko unn mila hai jaise banjare ko ghar

 Jaise ko i kinara deta ho sahara
 Mujhe vo mila kisi mod parr
 Koi raat ka tara karata ho ujala
 Vaise he roshan kare vo sahar
 Dard mere vo bhula hi gaya
 Kuch aisa asar huva
 Jina mujhe vo fir se sika raha
 Jaise barish kar de thar
 Ya marr gam dard per
 Koi mujhko unn mila hai jaise banjare ko ghar - 2
 Jaise banjare ko ghar - 3

3.Zaroorat Lyrics from Ek Villain

Song: Zaroorat
Movie: Ek Villain
Singer(s): Mustafa Zahid
Music By: Mithoon Sharma
Lyricist(s): Mithoon Sharma

 (Ye dil tanha kyun rahe
 Kyun hum tukdon mein jiye) - 2
 Kyun rooh meri ye sahe
 Main adhoora jee raha hoon
 Hardum ye keh raha hoon
 Mujhe teri zaroorat hai - 2) - 2

 Andheron se tha mera rishta bada
 Tune hi ujaalon se waaqif kiya
 Ab lauta main hoon inn andheron mein phir
 Toh paaya hai khud ko begaana yahaan
 Tanhaayi bhi mujhse khafaa ho gayi
 Banjaron ne bhi thukra diya
 Main adhoora jee raha hoon
 Khud par hi ik sazaa hoon
 Mujhe teri zaroorat hai - 2

 Tere jism ki woh khushbuein
 Ab bhi inn saanson mein zinda hai
 Mujhe ho rahi inse ghutan
 Mere gale ka ye phanda hai

4.Awari Lyrics from Ek Villain

Song: Awari
Movie: Ek Villain
Singer(s): Momina Mustehsan, Adnan Dhool
Music By: Rabbi Ahmed, Adnan Dhool
Lyricist(s): Adnan Dhool, Rabbi Ahmed

 Teri bahon mein jo sakun tha mila
 Me dhunda bahut tha phir na mila
 Duniya chhoona chaahe mujhko yun
 Jaisay unki sari ki sari me
 Duniya dekhe rup mera
 Koi na jane bechari me
 (Haye tuti sari ki sari me
 Tere ishq mein hoi awari me) - 2

 Koi sham bulaye koi daam lagaye
 Me bhi uppar se hansti
 Par andar se haye
 Kyun dard chupaye baithi hoon
 Kyun tu mujhse kehati hai
 Me khud hi bikhra hua
 Haye andar andar se tuta me
 Tere ishq me khud hi se rutha me
 Haye andar andar se tuta me
 Tere ishq mein khud hi se rutha me

 Me ji bharke ro loon
 Teri bahon me so loon
 Aa phir se mujhe mil
 Main tujhse ye bolun tu anmol thi
 Pal pal bolti thi
 Aisi chup tu laga ke gayi
 Sari khushiyan kha ke gayi
 Haye andar andar se tuta me
 Tere ishq me khud hi se rutha me
 Haye teri hun sari ki sari me
 Tere liye na sari me
 Tere choodiyon ki woh khanak
 Yaadon ke kamre mein goonje hai
 Sunkar isey aata hai yaad
 Haathon mein mere zanjeerin hain
 Tuhi aake inko nikaal zaraa
 Kar mujhe yahaan se rihaa
 Main adhoora jee raha hoon
 Ye sadaayein de rahaa hoon
 Mujhe teri zaroorat hai - 2

5.Humdard Lyrics from Ek Villain

Song: Humdard
Movie: Ek Villain
Singer(s): Arijit Singh
Music By: Mithoon Sharma
Lyricist(s): Mithoon Sharma

 Pal do pal ki hi kyun hai zindagi
 Is pyaar ko hai sadiyan kafi nahi
 Toh khuda se mang lun
 Mohalat me ek naayi rehna hai bas yahan
 Ab door tujhse jana nahi
 Jo tu mera humdard hai - 2
 Suhana har dard hai jo tu mera humdard hai

 Teri muskoorahatein hain taqat meri
 Mujhko inhi se ummid mili
 Chahe kare koi sitam ye jahan
 Innme hi hai sada hifajat meri
 Zindagani badi khoobsurat hui
 Jannat ab aur kya hogi kahi
 Jo tu mera humdard hai - 2
 Suhana har dard hai
 Jo tu mera humdard hai

 Teri dhadkano se hai zindagi meri
 Khwahishein teri ab duaayin meri
 Kitna anokha bandhan hai ye
 Teri meri jaan jo ek hui
 Lotunga yahan tere paas me haan
 Wada hai mera mar bhi jaun kahi
 Jo tu mera humdard hai - 2
 Suhana har dard hai
 Jo tu mera humdard hai
 Humdard hai - 4

Post a Comment

Post a Comment (0)

Previous Post Next Post
Post ADS 1
Post ADS 2