Header AD

Do Aankhen Barah Haath-Lyrics All Songs

Do Aankhen Barah Haath-Lyrics All Songs


1.Ai Malik Tere Bande Ham Lyrics From Do Aankhen Barah Haath

Song: Ai Malik Tere Bande Ham
Movie: Do Aankhen Barah Haath
Singer(s): Manna Dey
Music By: Vasant Desai
Lyricist(s): Bharat Vyas

 Ai malik tere bande ham, aise ho hamare karam
 Nekee par chale, aaur badee se tale, tankee hasate huye nikale dam

 Yeh andhera ghana chha raha, tera insan ghabara raha
 Ho raha bekhabar kuchh na aata najar, sukh ka suraj chhupa ja raha
 Hai teree roshanee me jo dam toh amawas ko karde punam

 Bada kamjor hain aadamee, abhee lakho hain iss me kamee
 Par too jo khada hain dayalu bada, teree kirapa se dharatee thamee
 Diya tune hume jab janam, too hee jhelega ham sabke gam

 Jab julmo ka ho samana, tab too hee hame thamana
 Woh burayee kare, ham bhalayee bhare, nahee badle kee ho kamana
 Badh uthhe pyar ka har kadam, aur mite bair ka yeh bharam


2.Saiyyaa Zoothhon Kaa Badaa Lyrics from Do Aankhen Barah Haath

Song: Saiyyaa Zoothhon Kaa Badaa
Movie: Do Aankhen Barah Haath
Singer(s): Lata Mangeshkar

 Saiyyaa zoothhon kaa badaa sarataaj nikalaa
 Muze chhod chalaa, mukh mod chalaa, dil tod chalaa
 Badaa dhokhebaaj nikalaa

 Chal diyaa julmee muz se bahaanaa banaa
 Mere nanhe se dil ko nishaanaa banaa
 Badaa tikhaa wo, daiyyaa tikhaa wo tirandaaj nikalaa

 Kuchh dinon se piyaa hum se naa bolataa
 Naa humaaraa ghoonghatawaa kaa pat kholataa
 Is gupachoop kaa bhed dekho aaj nikalaa

3.Ho Umad Ghumad Kar Aayee Re Ghata Lyrics from Do Aankhen Barah Haath

Song: Ho Umad Ghumad Kar Aayee Re Ghata
Movie: Do Aankhen Barah Haath
Singer(s): Lata Mangeshkar, Manna Dey
Music By: Vasant Desai
Lyricist(s): Bharat Vyas

 Ho umad ghumad kar aayee re ghata - (2)
 Kare kare badara kee chhayee chhayee re ghata

 Jab sanan pavan ko laga tir, badal ko chir nikala re nir
 Jhar jhar jhar jhar abb dhar jhare, o dharatee jal se mang bhare
 O umad ghumad kar

 Nanhee nanhee bundaniyo kee khanan khanan khan khanjaree
 Bajatee aayee bajatee aayee dekho bhayee barakha dulhaniya - (2)
 Chhuk chhuk chhuk chhuk sainya, aaj daru tore galava me bainya
 Mai toh nachu tere sang sang sainya, ho sainya, ho sainya

 Ho savan ka sandesa lekar nikalee jogan ghar se
 Jo koyee isake pyar ko tarse vahee navelee barse
 Kare kare badrava kee jhanan jhanan jhan jhanjharee
 Bajatee aayee hai dekho bhayee barkha dulhaniya - (2)
 Ho umad ghumad kar

 Mithee mithee mast pavan kee sanan sanan san bansuree
 Bajatee aayee dekho bhayee barakha dulhaniya
 Ho umad ghumad kar

 Haree haree chunaree saje kaliyo ka kangana baje
 Dekh ke apnee barakha ranee kee mithee muskan re
 Savan ke dulhe kee chamak uthee shan re
 Goree goree bijuriya kee chamak chamak cham akhandee
 Chamakatee aayee dekho bhayee barakha dulhaniya
 Ho umad ghumad kar

 Rang birangee jholee bharke bharan bharan bhandar re
 Lutatee aayee dekho bhayee barakha dulhaniya
 Ho umad ghumad kar

 Dharatee ne gatharee kholee, bharee bharee apnee jholee anamolee bhaiya
 Khelo khelo kushiyo kee holee ho holee ho holee
 Dhan dhan hamaree dharatee
 Sabke jivan ke yeh adhure sapne pure karatee
 Dekho dekho ghar ghar hamare lahar lahar aanand kee
 Leharatee aayee dekho bhayee barakha dulhaniya
 Ho umad ghumad kar

4.Aao Aao Honhar O Pyare Bachche Lyrics from Do Aankhen Barah Haath

Song: Aao Aao Honhar O Pyare Bachche
Movie: Do Aankhen Barah Haath
Singer(s): Lata Mangeshkar
Music By: Vasant Desai
Lyricist(s): Bharat Vyas

 Aao aao honhar o pyare bachche
 Pyare bachche, umar ke kachche, bat ke sachche
 Jiwan kee ek bat butau - (2)
 Musibato se daro nahee, bujadil ban ke maro nahee
 Rote rote kya hai jina, (nacho dukh men tan ke sina -2)

 Tak tak dhum dhum - (2)

 Rat andhiyaree ho, ghiree ghataye karee ho
 Rasta sunsan ho, aandhee aur tufan ho
 Manjil teree dur ho -2, panv tere majabur ho
 Toh kya karoge, ruk jaoge, na, toh kya karoge

 Tak tak dhum dhum - (2)

 O insano ke duhkh halkan, karke apna sab kurban
 Bebas ka ghar bas jaye, apna ghar jo ujad jaye
 Auro ko karke aabad -2, huye agar jo tum barabad
 Toh kya karoge, rooge, na, toh kya karoge

 Tak tak dhum dhum - (2)

 O jag me ghor ladayee ho, vatan peh aafat aayee ho
 Ghar me ghuse lutere ho, aajadee ko ghere ho
 Banduko kee mar ho -2, bade bade lachar ho
 Toh kya karoge, dar jaoge, na, toh kya karoge

 Tak tak dhum dhum - (2)

5.Mai Gau Too Chup Ho Ja Lyrics from Do Aankhen Barah Haath

Song: Mai Gau Too Chup Ho Ja
Movie: Do Aankhen Barah Haath
Singer(s): Lata Mangeshkar
Music By: Vasant Desai
Lyricist(s): Bharat Vyas

 Mai gau too chup ho ja, mai jagu re too so ja - (2)

 Dharatee kee kaya soyee, ambar kee maya soyee
 Jhil-mil taro ke niche, sapno kee chhaya soyee
 Mai dhundhu, ho mai dhundhu re too kho ja
 Mai jagu re too so ja............

 Jane hawayee kaha khoyee, sagar kee bhee lahare soyee
 Duniya ka sab dukhda bhar ke - (2)
 Teree do ankhiya re kyun royee
 Aansu ke, ho aansu ke shabanam dho ja
 Mai jagu re too so ja............

 Aansu tere mujhko de de, badale me meree hansee le le
 Tera toh man sukh se khele, mera hriday tera dukh jhele
 Naye bij, naye bij khushee ke bo ja
 Mai jagu re too so ja, mai gau too chup ho ja
 Mai jagu re too so ja...........

Post a Comment

Post a Comment (0)

Previous Post Next Post
Post ADS 1
Post ADS 2